kahte hain sun ke tazkire mujh gham-rasida ke afsane kaun sunta hai haal-e-shunida ke kya apni musht-e-khak ki hum justuju karen milte nahin nishan ghubar-e-parida ke main khak bhi hua na gai par kashidgi ghusse wahi rahe mere daman-kashida ke jo tum mein baat hai wo kisi aur mein kahan jalwe kuchh aur hi hain gul-e-nau-damida ke sailab-e-chashm-e-tar se zamana kharab hai shikwe kahan kahan hain mere aab-dida ke kuchh intiha nahin hai kahan tak sunaiye qisse daraaz hain dil-e-na-armida ke qatre mile jo tere pasine ke gul-badan khwahan rahe na log gulab-e-chakida ke aahon ki dhum hai kahin nalon ke gulgule saman nae hain roz tere gham-kashida ke aaram-gah-e-ashk hai viran ai junun daman hain tar tar qaba-e-darida ke o mast-e-naz kaif ye tere sukhan mein hai dhoke kalam par hain sharab-e-chakida ke lo aashiyan-e-tan ki taraf mel tak nahin dekho mizaj tair-e-rang-parida ke diwan mein wasf hai araq-e-jism-e-yar ka mazmun kahan kahan hain gulab-e-chakida ke mizhgan se bach 'nasim' ki abru ke pas hain ye tir-e-be-khata hain kaman-e-kashida ke