us aaine mein dekhna hairat bhi aaegi ek roz mujh pe us ki tabiat bhi aaegi qadghan laga na ashkon pe yaadon ke shahr mein hoga agar tamasha to khilqat bhi aaegi main aaina banunga tu patthar uthaega ek din khuli sadak pe ye naubat bhi aaegi mausam agar hai sard to phir aag tap le chamkegi aankh khun mein hararat bhi aaegi kuchh der aur shakh pe rahne de sabr kar pakne de phal ko khane mein lazzat bhi aaegi aankhen hain tere pas to phir sath-e-ab par gahrai se ubhar ke ibarat bhi aaegi niklen charagh hath mein le kar gharon se log suraj ki rah mein manzil-e-zulmat bhi aaegi ye jaanta to katta 'sajid' na sae ko talwar par lahu ki tamazat bhi aaegi