kyon ai khayal-e-yar tujhe kya khabar nahin main kyon bataun dard kidhar hai kidhar nahin nashtar ka kaam kya hai ab achchha hai dard-e-dil sadqe tere nahin nahin ai chaara-gar nahin kahti hai ahl-e-zauq se betabi-e-khayal jis mein ye iztirab ki khu ho bashar nahin hasti ka qafila sar-e-manzil pahunch gaya aur hum kaha kiye abhi waqt-e-safar nahin diwan-gan-e-ishq pe kya jaane kya bani waraftagi-e-husn ko apni khabar nahin duniya-e-dard-e-dil hai to duniya-e-shauq-e-ruh hon aur bhi jahan mujhe kuchh bhi khabar nahin sahra-e-ishq-o-hasti-e-mauhum-o-raaz-e-husn in manzilon mein dil sa koi rahbar nahin har zarra jis se ek dil-e-muztar na ban sake wo koi aur chiz hai teri nazar nahin is be-dili se kahne ka 'bekhud' maal kya alfaz kuchh hain jama maani magar nahin