kuchh chakhane ko uske mal to ho

kuchh chakhane ko us ke mal to ho
na ho salan chane ki dal to ho

bazm-e-zindan mein lao zahid ko
pas sheron ke ek shaghaal to ho

bhejun us naujawan ke pas kise
koi mashshata pir-e-zal to ho

apne qasid ko kya main khilat dun
go do-shaala na ho to shawl to ho

ek do khum se hoga kya saqi
mere pine ko ek pakhaal to ho

ghar mein apne main dal lun un ko
par mere pas mal tal to ho

mere khane ko sukhe tukde hon
un ke khane ko shirmal to ho

holi wo khelne ko aate hain
kuchh na milne ko ho gulal to ho

lambe baalon pe jab main aashiq hun
meri chandiya mein ek baal to ho

shaikh ji ke junun ka jab ho ilaj
qasd ke waste kudal to ho

kis tarah kate naika charkha
sukhi chamrakh na ho to mal to ho

wajd karta hun un ki mahfil mein
taki malum mera haal to ho

un ka pichha main jab karun yaro
pahle mujh mein koi kamal to ho

nashsha pani kare 'inayat' kya
bhang wala na ho kalal to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close