marhale zist ke dushwar abhi ho jaen taki hum jine ko tayyar abhi ho jaen ye jo kuchh log mere chaar-taraf hain har-waqt yar ho jaen ki aghyar abhi ho jaen jis ki tabir hai ek khwab mein chalte rahna kyun na us khwab se bedar abhi ho jaen jaane phir koi zarurat bhi rahe ya na rahe jin ko hona hai wo gham-khwar abhi ho jaen koi taswir saja lega to koi tahrir kyun na hum naqsh-ba-diwar abhi ho jaen zindagi khud ko bachana hai ki jaan dena hai faisle ye bhi hain ki war abhi ho jaen ek lamhe mein badal sakte hain haalat 'sahar' aap agar shamil-e-darbar abhi ho jaen