kai aae adawat karne wale rahe baqi mohabbat karne wale jiyale kyon nazar aate nahin ab andheron se baghawat karne wale ujale sab tere mamnun honge charaghon ki hifazat karne wale kisi din padh len fursat se umar ko zamane par hukumat karne wale khuda tujh ko sada rakkhe salamat gharibon ki himayat karne wale zara kirdar un sa bhi to apna buzurgon ki ziyarat karne wale ibaadat ka yahi mausam hai 'afzal' jawani waqf-e-ishrat karne wale jawani husn-e-daulat aur shohrat parinde hain ye hijrat karne wale rahenge surkh-ru donon jahan mein mohammad ki itaat karne wale