khatm kal tak irtibaat-e-jism-o-jaan ho jaega har nafas afsana-e-umr-e-rawan ho jaega ai hujum-e-dard ab ashkon ka thamna hai muhaal ab ye sota ek hijr-e-be-karan ho jaega yaad teri khinch degi dil mein taswiren teri dard tera ek dard-e-jawedan ho jaega dasht-e-ghurbat mein meri aankhon se tapka hai jo aaj kya ye aansu ek harf-e-raegan ho jaega ishraten kam hote hote be-nishan ho jaengi gham ka dariya badhte badhte be-karan ho jaega nala nala dil ki betabi karega aashkar ashk ashk andoh-e-dil ka tarjuman ho jaega naza mein 'fitrat' ye tum ne mehrbani ki to hai maut ka paighambar na-mehrban ho jaega