kai sarab mile tishnagi ke raste mein rukawaten hain bahut raushni ke raste mein hamara aap ka sar phodna muqaddar hai sanam khade hain abhi aadmi ke raste mein hai us ka sath to lab par yahi dua hai ki phir na aae aur koi zindagi ke raste mein wahan mila bhi to apna hi aashna sa ye khade the der se hum raushni ke raste mein nai hai fikr magar lafz to purane hain qadamaten hain wahin tazgi ke raste mein