mahak kirdar ki aati rahi hai sadaqat phul barsati rahi hai sitaron ne kahi teri kahani suhani shab tujhe gati rahi nazar kis zawiye pe ja ke thahre qayamat har ada dhati rahi hai jahan apna lahu bota raha hun wo basti mujh se katraati rahi hai sulagti chikhti pyasi zamin par ghata ghanghor bhi chhati rahi hai jo mere samne har dam raha hai usi ki yaad bhi aati rahi hai 'hayat' us samt se aati hawa bhi payam-e-zindagi lati rahi hai