main ne apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai yun nahin jaise jism ko pairahan se alag kar rakkha hai mere lafzon se guzro mujh se dar-guzro ki main ne fan ke pairae mein khud ko fan se alag kar rakkha hai fatiha padh kar yahin subuk ho len ahbab chalo warna main ne apni mayyat ko madfan se alag kar rakkha hai ghar wale mujhe ghar par dekh ke khush hain aur wo kya jaanen main ne apna ghar apne maskan se alag kar rakkha hai is pe na jao kaise kiya hai main ne mujh ko khud se alag bas ye dekho kaise anokhe-pan se alag kar rakkha hai umr ka rasta aur koi hai waqt ke manzar aur kahin main ne bhi donon ko baham bachpan se alag kar rakkha hai dard ki gutthi suljhane phir kyun aae ho khirad walo? baba! hum ne tum ko jis uljhan se alag kar rakkha hai