kaif-e-sahba se nahin husn tarahdari ka

kaif-e-sahba se nahin husn tarahdari ka
dusra nam jawani bhi hai sarshaari ka

halqa-e-dam-e-siyasat kham-e-gesu-e-butan
har taraf dam bichha dil ki giraftari ka

shana-kush reshmi baalon ke zara aahista
kufr pukhta hai kahan aaj ki zunnari ka

lazzat-e-zakhm se aagah nahin thi duniya
silsila gul se chala hai jigar-afgari ka

ashk palkon pe saja lene do ahl-e-gham ko
in sitaron ko bhi mauqa do ziya-bari ka

baz rahiye sar-e-gul-gasht-e-chaman se kab tak
sang-bari ka jo mausam wahi gul-bari ka

shaikh kabe se koi rang na le kar utthe
titliyan kar ke tawaf aai hain phulwari ka

bujh ke rah jata hai girte hi kisi daman par
ishq mein soz-e-jigar chahiye chingari ka

nim-baz aankhen larazti hui palken 'mani'
jaise ehsas shagufon mein ho bedari ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close