main na minnat-kash-e-angur hua khub hua chashm-e-makhmur se makhmur hua khub hua shoala-e-ah mera nur hua khub hua un ka gesu shab-e-dijur hua khub hua nikhat-e-zulf se masrur hua khub hua sanp ke zahr se makhmur hua khub hua sar jo qadmon pe rakha hath se sarka na diya ijz par mere wo maghrur hua khub hua aae pariyon ke pare wasf-e-kamar khulwane misl-e-anqa ke main mashhur hua khub hua is jahan ke nazar aate hain tamashe mujh ko durbin dida-e-nasur hua khub hua ab anal-haq ke kahe par nahin mare jate is zamane mein jo mansur hua khub hua phans gaya hai kisi gesu mein dil-e-khana-kharab dushman-e-jaani se main dur hua khub hua mere darman hain badal mardum-e-baadam-farosh chashm-e-bimar se ranjur hua khub hua ashk se chashm ke hum zakhm-e-jigar dhote hain khun-e-dil baada-e-agur hua khub hua hum ne duniya hi mein jannat ka maza lut liya mehrban hum pe jo wo hur hua khub hua be-hijabana gale lagte hain daur aur chale chashm-e-bad-dur wo makhmur hua khub hua zanu-e-zohra-jabinan pe dhara rahta hai sar mera kasa-e-tanbur hua khub hua wada shab ka tha mujhe din ko wo dekha to kaha nam-e-zangi aji kafur hua khub hua kya hi khush-go hai 'nasim' ahl-e-sukhan kahte hain bagh-e-hind aap se mysore hua khub hua