silsile hadson ke dhyan mein rakh

silsile hadson ke dhyan mein rakh
umr-bhar khud ko imtihan mein rakh

mang bharte hain jo salibon ki
un farishton ko aasman mein rakh

jaane kis mod se guzarna ho
ajnabi raste guman mein rakh

zindagi ke bahut qarib na ja
fasla kuchh to apne dhyan mein rakh

be-hison par bhi jo garan guzrin
aise jumlon ko dastan mein rakh

aakhiri tir ki tarah khud ko
khinch kar waqt ki kaman mein rakh

jism ehsas ke chatakh jaen
aise but kanch ki dukan mein rakh

pi ke kuchh tajrabon ka zahr 'akmal'
mukhtalif zaiqe zaban mein rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close