kaisa dar ashkon ki naql-e-makani par hijr ka pahra hai aankhon ke pani par us ko hansta dekh ke phul the hairat mein wo hansti thi phulon ki hairani par chashme ke pani jaisa shaffaf hun main dagh koi dil mein hai na peshani par girah laga kar chadar dali misre ki main ne dusre misre ki uryani par wal-asr innal-insana ka wird kiya war di shahron ki raunaq virani par