kis kis ko nazr karta raha hun ye fan tamam

kis kis ko nazr karta raha hun ye fan tamam
hota hai par sukhan ke liye hi sukhan tamam

kuchh log kam-nazar hain kuchh apna hunar bhi hai
lau bhar dikhai deti hai sab ko jalan tamam

'aql-o-khirad ke bas mein nahin aa sakenge hum
diwane-pan se hota hai diwana-pan tamam

ek khauf-e-mushtarak ka hai ye jashn aur kya
aamad kisi ki bhi ho chahakta hai ban tamam

hum band kar chuke hain faqat phul bechna
kante kharid lijiye ya phir chaman tamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close