kaise amir kis ke gada tajdar kya darul-fana mein jabr hai kya ikhtiyar kya wo tez dhup hai ki pighalne lage hain khwab zulfon ke sae denge fareb-e-bahaar kya aabaad kar kharabae--zehn-o-khayal ko shahron mein dhundhta hai sukun-o-qarar kya simte to musht-e-khak hai ye aadmi ki zat bikhre to phir ye arsa-e-lail-o-nihaar kya main hun 'sarosh' banda-e-majbur-o-na-tawan mujh mein bhi tera aks hai parwardigar kya