muddat mein idhar phir wo gul-bar nazar aae

muddat mein idhar phir wo gul-bar nazar aae
sahra mein bahaaron ke aasar nazar aae

kya raaz-e-mashiyyat tha hum aalam-e-hasti mein
majbur rahe lekin mukhtar nazar aae

masti-bhari aankhon se jab us ne hamein dekha
masrur nazar aae sarshaar nazar aae

dekhe hain mohabbat ke hum ne ye karishme bhi
ek bar chhupe gar wo sau bar nazar aae

phir mast ghata chhai phir padne lagin bunden
phir jam-ba-kaf har-su mai-khwar nazar aae

madhosh fazaon mein phir qaus-e-quzah damki
phir qamat-e-rangin ke anwar nazar aae

un mast nigahon ne khud apna bharam khola
inkar ke parde mein iqrar nazar aae

hum baada-paraston ne chhedi jo hadis-e-mai
khulte hue duniya ke asrar nazar aae

har ruh mein dekhi hai ai 'naqsh' khalish gham ki
har phul ke pahlu mein kuchh khar nazar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close