kaun kahta hai ki benam-o-nishan ho jaunga dub kar main qatre qatre se ayan ho jaunga dekhna chhedunga maqtal mein bhi saz-e-sarmadi ishq par jab zulm hoga naghma-khwan ho jaunga moti ban kar sipiyon mein aap raushan hain agar main bhi gili ret par gauhar-e-fishan ho jaunga sari duniya se juda hai meri fitrat ka mizaj jis qadar simtunga utna be-karan ho jaunga mere hote zindagi be-rang ho sakti nahin nabz-e-alam mein lahu ban kar rawan ho jaunga jab muarrikh meri hasti par uthaega qalam intiha ye hai ki teri dastan ho jaunga hasraton ki manzilen roengi mere haal par aise aawara musafir ka nishan ho jaunga ye bahut dushwar hai lekin tumhaare waste main tumhaare aur apne darmiyan ho jaunga chahchahaunga bahaaron mein parindon ki tarah pattharon ki wadiyon mein be-zaban ho jaunga gulistan fani sahi tum ho magar khushbu ka khwab main tumhaara git ban kar jawedan ho jaunga jab samundar mere sine mein sama jaega 'prem' har bhanwar ki aabru ka imtihan ho jaunga