us ne aane ka jo wada kya jate jate dam mera sine mein rukne laga aate jate khak mein mujh ko jo tum ne na milaya na sahi lash hi meri thikane se lagate jate tere diwanon ka dekhe to koi josh-o-kharosh su-e-mahshar bhi hain ek shor machate jate hum to samjhe the ki nalon se tasalli hogi ye to hain dard mein dard aur badhate jate sath lena tha hamein bhi tujhe o paik-e-saba hum bhi ham-rah tere thokaren khate jate tum ne kandha na diya lash ko meri na sahi ek thokar hi meri jaan lagate jate yun na jaana tha unhen pas se uth kar 'anjum' koi aafat hi mere sar pe wo dhate jate