kaise is shahr mein rahna hoga hae wo shakhs ki mujh sa hoga rang bikhrenge jo main bikhrunga tu jo bikhrega to zarra hoga khushk aankhon se isi soch mein hun abr is bar bhi barsa hoga ab bhi pahron hai yahi soch mujhe wo mujhe chhod ke tanha hoga wo badan khwab sa lagta hai mujhe jo kisi ne bhi na dekha hoga ye taghayyur ki hawa hai pyare ab jahan phul hain sahra hoga dekhna tum ki yahi kunj-e-bahaar phir jo guzroge to suna hoga na ye chehre na ye mele honge na koi dost kisi ka hoga aisa badlega sitamgar mausam khun shakhon se tapakta hoga na kisi sar mein mohabbat ka junun na kisi dil mein ye sauda hoga husn majbur tah-e-dam-e-hawas ishq mahrum-e-nazara hoga hum ne ghar apna jalaya hai ki 'shauq' shahr mein kuchh to ujala hoga