khuda khuda kar ke aae bhi wo to munh lapete pade hue hain na kahte hain kuchh na sunte hain kuchh kasi se jaise lade hue hain hazar-ha mannaten karenge lipat ke qadmon pe sar dharenge na jaane denge na jaane denge abas wo bigde khade hue hain sawal karte hain mujh se kya kya pae-khuda mere rahbar aa pada main takta hun tera rasta nakir-o-munkir khade hue hain rahi jo un se tumhein kudurat to badh gai wahshiyon ki wahshat udai is darja khak-e-hasrat kamar kamar tak gade hue hain idhar to jine se hum hain aari udhar mangate ho tum sawari ye kaisi hain garmiyan tumhaari phaphule dil mein pade hue hain farebi aankhen rasili chitwan ada ishaara nigah rahzan ye apne do tin hain jo dushman nazar mein anjum tade hue hain