us ki qurbat mein hua hai ye khasara mera aap padh lijiye har aankh mein qissa mera har nai sans pe banta hun bigad jata hun ye hawa khatm hi kar de na tamasha mera ab to honton pe kabhi phul bhi khil jate hain aap ne in dinon dekha nahin chehra mera main ne ro ro ke use ghair ka hone na diya us bala-khez ko zanjir tha girya mera ab nae dasht mujhe dekh ke dar jate hain meri wahshat ne badha rakkha hai rutba mera