kaise jaanun ki jahan khwab-numa hota hai jabki har shakhs yahan aabla-pa hota hai dekhne walon ki aaankhon mein nami tairti hai sochne walon ke sine mein khala hota hai log us shahr ko khush-haal samajh lete hain raat ke waqt bhi jo jag raha hota hai ghar ke bare mein yahi jaan saka hun ab tak jab bhi lauto koi darwaza khula hota hai fasle is tarah simte hain nai duniya mein apne logon se har ek shakhs juda hota hai mere muhtaj nahin hain ye badalte mausam man leta hun magar dil bhi bura hota hai chandni raat ne ehsas dilaya hai 'malal' aadmi kitne sarabon mein ghira hota hai