parda-e-zehn se saya sa guzar jata hai jaise pal bhar ko mera dil bhi thahar jata hai teri yaadon ke diye jab bhi jalata hai ye dil husn kuchh aur shab-e-gham ka nikhar jata hai hasraten dil ki mujassam nahin hone patin khwab banne nahin pata ki bikhar jata hai raat bhige to ek anjaan sa benam sa dard chandni ban ke fazaon mein bikhar jata hai raat kate nahin katti hai kisi surat se din to duniya ke bakhedon mein guzar jata hai us ko bhi kahte hain 'mumtaz' wafa ka naghma dil-e-betab mein ghut ghut ke jo mar jata hai