kis liye chup hun wazahat bhi nahin kar sakta main mohabbat mein shikayat bhi nahin kar sakta ek ek kar ke parindon ne to hijrat kar li ped hun ped to hijrat bhi nahin kar sakta kya mujhe sans bhi lene ki ijazat nahin hai kya main ek aur mohabbat bhi nahin kar sakta kya zamana hai ki is ahd-e-ziyan mein koi shakhs apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakta kaun sa khauf rag-o-pai mein samaya hai ki ab main burai ki mazammat bhi nahin kar sakta ab kisi ashk ko kya aankh mein rakkha jae ashk jo gham ki hifazat bhi nahin kar sakta samna ho to zaban dil ka nahin deti sath kuchh batane ki main himmat bhi nahin kar sakta saneha ye hai use mujh se juda hona hai aur sitam ye ki main rukhsat bhi nahin kar sakta