kaun sa main jawaz dun surat-e-haal ke liye dast-e-sakhi mein kuchh nahin dast-e-sawal ke liye apni tabahiyon pe bhi khul ke na ro sake kabhi waqt hi kab mila hamein ranj-o-malal ke liye us se main is tarah mila jaise mujhe pata nahin karta hai kaun sazishen mere zawal ke liye tum bhi khinche khinche se the hum bhi bache bache rahe donon hi zimmedar hain shishe mein baal ke liye phulon ko har ghadi rahi kanton se khun ki talab thoda surur ke liye thoda, jamal ke liye ab ke baras ki fasl bhi pichhle lagan mein gai sud mein faqe rah gae ab ke bhi sal ke liye kah do ye shahryar se dar-o-rasan saje rahen zulm-o-sitam bhi shart hain jah-o-jalal ke liye