kaisi hai ye bahaar muqaddar ki baat hai

kaisi hai ye bahaar muqaddar ki baat hai
daman hai tar-tar muqaddar ki baat hai

kya qahr hai ki rang hai phulon ka zard zard
kanton pe hai nikhaar muqaddar ki baat hai

is mukhtasar hayat mein itni musibaten
kis ko hai ikhtiyar muqaddar ki baat hai

ai dost aagahi hamein koshish ke bawajud
aai na sazgar muqaddar ki baat hai

har-gam par fareb diye jis nasib ne
phir us pe eatibar muqaddar ki baat hai

sahil se ham-kanar kare ya dubo hi de
maujon ka ye ubhaar muqaddar ki baat hai

'jaanbaz' ghair ke liye duniya ki neamaten
mere liye hai dar muqaddar ki baat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close