kakul-o-chashm-o-lab-o-rukhsar ki baaten karo zulmat-e-dauran mein husn-e-yar ki baaten karo kaun kyun le kar chala aata hai un ka qafila aansoon ke qafila-e-salar ki baaten karo koi chahe ya na chahe ye safar hai na-guzir karwan-e-waqt ki raftar ki baaten karo khanjaro kuchh to sar-e-maqtal pe hoe tabsira aariyo kate gae ashjar ki baaten karo kya nahin mumkin ki ho haalat pahle ki tarah kya zaruri hai ki tum pindar ki baaten karo waizo ab ke sharab-e-ishq par taqrir ho mai-kashon allah ke didar ki baaten karo be-qarari ka sabab banne lagi danishwari ab sukun darkar hai be-kar ki baaten karo