kaun dekhega bhala is mein hai ruswai kya khwab mein aane ki bhi tum ne qasam khai kya us ka ghar chhod ke hum to na kisi dar pe gae par samajhta hai use wo but-e-harjai kya sunte hi jis ke hui jaan hawa tan se mere is gali se ye khabar baad-e-saba lai kya wah main aur na aane ko kahunga tauba main to hairan hun ye baat aap ne farmai kya bah chala chashm se yakbar jo ek dariya sa baithe baithe mujhe kya jaane ye lahr aai kya harf-e-matlab ko mere sun ke ba-sad-naz kaha hum samajhte nahin bakta hai to saudai kya shaikh-ji hum to hain nadan par use aane do hum bhi puchhenge hui aap ki danai kya kaifiyat mahfil-e-khuban ki na us bin puchho us ko dekhun na to phir de mujhe dikhlai kya aaj dam apna thaharta nahin kya jaaniye aah maslahat logon ne wan baith ke thahrai kya bar mein wo shokh tha aur sair-e-shab-e-mah thi raat apne ghar kya kahen thi anjuman-arai kya par gaya subh se wo ghar to yahi dhadka hai dekhen aaj us ka ewaz le shab-e-tanhai kya dekhne ka jo karun us ke main dawa 'jurat' mujh mein jurat ye kahan aur meri binai kya