mazhab ki kitabon mein bhi irshad hua main duniya teri tamir mein buniyaad hua mein sayyaad samajhta tha riha ho na sakunga hathon ki nasen kat ke aazad hua main uryan hai mere shahr mein tahzib ki dewi mandir ka pujari tha so barbaad hua main mazmun se likhta hun kai dusre mazmun duniya ye samajhti hai ki naqqad hua main har shakhs hiqarat se mujhe dekh raha hai jaise kisi mazlum ki fariyaad hua main