un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai do zahr ke pyalon pe qaza khel rahi hai hain nargis-o-gul kis liye mashur-e-tamasha gulshan mein koi shokh ada khel rahi hai us bazm mein jaen to ye kahti hain adaen kyun aae ho, kya sar pe qaza khel rahi hai us chashm-e-siyah mast pe gesu hain pareshan maikhane pe ghanghor ghata khel rahi hai bad-masti mein tum ne unhen kya kah diya 'akhtar' kyun shokh-nigahon mein haya khel rahi hai