Thokaron ki shai parastish ki nazar tak le gae

thokaron ki shai parastish ki nazar tak le gae
hum tere kuche ke ek patthar ko ghar tak le gae

chhod kar jate rahe sab karwan wale magar
raste hi ham-safar nikle jo ghar tak le gae

apne hi maqtul thahre apne hi qatil bane
apne hi hathon se hum kashti bhanwar tak le gae

sham hi tak tha sukut-e-qabl-e-tufan phir na puchh
kaise kaise hum charagh-e-shab sahar tak le gae

tutta kab tak na aakhir aise tair ka ghurur
noch kar sayyaad jis ke baal-o-par tak le gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close