kali ka rup chaman ko nikhaar hain hum log bahaar hum se hai jaan-e-bahaar hain hum log halak-e-ranj hain gham ka shikar hain hum log zamana bit gaya be-qarar hain hum log shikar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kya hote harif-e-gardish-e-lail-o-nahaar hain hum log koi kahe gham-e-jaanan ko kaise apnaen ki mubtala-e-gham-e-rozgar hain hum log bisat-e-dahr pe kuchh apna ikhtiyar nahin khuda gawah ki be-ikhtiyar hain hum log udae phirti hai har-su hawa-e-dahr hamein hawa ke sath misal-e-ghubar hain hum log faza-e-dasht mein jaise ghazal aawara rawan rawan yunhi diwana-war hain hum log agarche shahr bhi apna hai mulk bhi apna 'azim' phir bhi gharib-ud-dayar hain hum log