kuchh is tarah se nizam-exgul-o-bahaar chale

kuchh is tarah se nizam-exgul-o-bahaar chale
ki eatibar-e-mohabbat ka karobar chale

nisar dil ko to pahle hi kar chuke the hum
bas ek jaan thi wo aaj tujh pe war chale

hua na aaj bhi hasil hamein tera didar
hum aaj bhi tere kuche se ashk-bar chale

sukun yahan bhi mayassar na ho saka dil ko
tumhaari bazm mein aa kar bhi be-qarar chale

dil-o-nigah hain ek mast-e-naz ke bas mein
dil-o-nigah pe ab kis ka ikhtiyar chale

rahenge hum shajar-e-saya-dar ki surat
riyaz-e-dahr mein baad-e-khizan hazar chale

khizan-sifat teri mahfil mein aae the lekin
hum anjuman se teri surat-e-bahaar chale

chale 'azim' kuchh is tarah bazm se uth kar
ki jaise shahr-e-nigaran se shahryar chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close