kaliyon ki mahak hota taron ki ziya hota main bhi tere gulshan mein phulon ka khuda hota har chiz zamane ki aaina-dil hoti khamosh mohabbat ka itna to sila hota tum haal-e-pareshan ki pursish ke liye aate sahra-e-tamanna mein mela sa laga hota har gam pe kaam aate zulfon ke teri sae ye qafila-e-hasti be-rahnuma hota ehsas ki dali par ek phul mahakta hai zulfon ke liye tum ne ek roz chuna hota