ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai log apne dar-o-diwar se hoshiyar rahen aaj diwane ka ghar jaane ko ji chahe hai dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai dil ko zakhmon ke siwa kuchh na diya phulon ne ab to kanton mein utar jaane ko ji chahe hai chhanw wadon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil mat thahar garche thahar jaane ko ji chahe hai zindagi mein hai wo uljhan ki pareshan ho kar zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se kya tumhaara bhi sanwar jaane ko ji chahe hai rasan-o-dar idhar kakul-o-rukhsar udhar dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai