kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar to aae dubne ke liye girdab nazar to aae koi tabir ki surat bhi nikal aaegi nind to aae kabhi khwab nazar to aae band kamre ki faza kis ko bhali lagti hai mere atraf mein mahtab nazar to aae do ghadi thahrun kahin main bhi zara dam le lun rah mein khitta-e-shadab nazar to aae main shikasta hun idhar tu bhi shikasta hai udhar jang mein koi zafar-yab nazar to aae mushkilen gher ke baithi hain mera ghar 'alam' ab zara halqa-e-ahbab nazar to aae