shikasta-par hai ye unchi udan rakhta hai parinda hai to parinde ki shan rakhta hai bahut hi budha sahi par isi shajar se ghar tamam shahr mein ek aan-ban rakhta hai ajab hi chiz hai aanchal bhi man ka ai logo ki sar to jaise koi aasman rakhta hai wo shakhs jo mere har faisle ka tha paband sawaliya mere aage nishan rakhta hai hui hai baalon ki chandi se baat ye raushan wo pa-e-umr ki sar par takan rakhta hai wo shohraton ke bayaban mein thahra la-sani ki sarw se kahin badh kar uthan rakhta hai agarche wada nahin phir bhi jaane kyon 'amir' ye dil usi ki hi aahat pe kan rakhta hai