tanhaiyon ka habs mujhe katta raha mujh tak pahunch saki na tere shahar ki hawa wo qahqahon ki sej pe baitha hua mila main jis ke dar pe dard ki baraat le gaya ek umr justuju mein guzari to ye khula wo mere pas tha main jise dhundhta raha nikla hun lafz lafz se main dub dub kar ye mera khat hai ya koi dariya chadha hua aankhon mein jaise kanch ke tukde chubho liye palkon pe teri kash main aansu na dekhta nazren milin to waqt ki raftar tham gai nazuk se ek lamhe pe barson ka bojh tha main ne badha ke hath use chhu liya 'rashid' itna qarib aaj mere chand aa gaya