kam ulajhti hai charaghon se hawa mere baad

kam ulajhti hai charaghon se hawa mere baad
shahr mein shahr ka mausam na raha mere baad

main ne jal kar na diya maslahat-e-waqt ka sath
kya khabar kaun jala kaun bujha mere baad

sach ki khatir sar-e-shola bhi zaban rakh deta
baat ye hai koi mujh sa na raha mere baad

dubna tha so main ek mauj mein pas dub gaya
aur dariya tha ki bahta hi raha mere baad

phir koi sham-e-shafaq-dida bhi utri ki nahin
meri tanhai ka kya rang hua mere baad

aur kya hashr tha is anjuman-afrozi ka
bas yahi tha ki dhuan aur badha mere baad

yun main aasuda-e-manzil hun ki ab gard-e-safar
chumti hai mera naqsh-e-kaf-e-pa mere baad

kya bura waqt pada shahr-e-wafa par 'mahshar'
mujh ko hi dhundti hai meri wafa mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close