mere baad aur koi mujh sa na aaya hoga

mere baad aur koi mujh sa na aaya hoga
us ke darwaze pe ab tak mera saya hoga

jab bhi aaine ne munh us ko chidhaya hoga
kaise khwabon ki haqiqat ko chhupaya hoga

us ne bharpur nazar jis pe bhi dali hogi
chand ne us ko kaleje se lagaya hoga

kis tarah qatl kiya hoga meri yaadon ko
kitni mushkil se mujhe us ne bhulaya hoga

jab chali hogi kahin baat kisi shair ki
us ke honton pe mera nam to aaya hoga

jo mere bare mein sochega har ek pahlu se
wo mera apna nahin hoga paraya hoga

us ki palkon ka tabassum ye pata deta hai
us ne aankhon mein koi khwab sajaya hoga

sochta hun ki wo insan ba-nam-e-hasti
kaise angaron ki barish mein nahaya hoga

zindagi us ki sulagta hua sahra hogi
jo teri aankhon pe iman na laya hoga

teri aankhon mein samaya hai jo rangon ki tarah
ho na ho mere khayalat ka saya hoga

tum ne 'qaisar' mere ehsas ke virane mein
mere khwabon ko tadapta hua paya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close