lala-o-gul ka lahu lakh bahaya jae ye chaman chhod ke hum se to na jaya jae phir rahe hain sabhi chehron pe naqaben dale kis ko haalat ka aaina dikhaya jae rang par jashn-e-bahaaran jabhi aa sakta hai phul kanton mein koi farq na paya jae apni tahzib hi ikhlas-o-rawadari hai is ko hatne se ba-har-haal bachaya jae sab barabar ke hain haqdar chaman-sazi mein phir kise harf-e-ghalat kah ke mitaya jae khud-bakhud qaum ki taqdir sanwar jaegi pahle bigda hua mahaul banaya jae ji rahe hain sabhi ehsas kuchal kar apna ab kise dard ka ehsas dilaya jae sirf hum uth gae upar to koi shan nahin shan to ye hai ki girton ko uthaya jae khun basta hai tamannaon ka aankhen kya hain kaun sa khwab nigahon mein basaya jae aadamiyat ke charaghon ki lawen tez karo na ho aisa ki badan chhod ke saya jae manzilen aisi bhi hain fikr-e-bashar se aage jin ki had mein na ishaara na kinaya jae 'shauq' dil nam to hai ek chaman zakhmon ka silsila is ka magar kis se milaya jae