kisi bhi sher mein achchha bura kya bas itna dekhiye kis ne kaha kya abhi insan to ban pae nahin ho banoge aadmi se dewta kya sitaron mein ye kaisi khalbali hai falak par aa gaya suraj naya kya kitabon se use fursat nahin thi wo padhta aap ka chehra bhala kya tumhaari hi tarah ho jaun yani badal lun main bhi apna rasta kya taraqqi kar raha hai mulk be-shak taraqqi ne gharibon ko diya kya 'aman' hum to faqir-e-ishq thahre faqiri mein khasara faeda kya