pahli bar wo khat likkha tha jis ka jawab bhi aa sakta tha khud afwah udata tha main khud hi yaqin bhi kar leta tha us se kaho us rup mein aae jaisa pahli nazar mein laga tha bhul chuka tha de ke sada main tab jangal ka jawab aaya tha hum to parae the is ghar mein hum se kaun khafa hota tha tut gae is koshish mein hum apni taraf jhukna chaha tha ulajh rahi thi aankh kahin par koi mujhe pahchan raha tha tut gaya phir gham ka nasha bhi dukh kitna sukh de sakta tha jagah jagah se tut raha hun kis ne mujhe chhu kar dekha tha kitne sachche dil se hum ne apna apna jhut kaha tha pahli bar main us ki khatir apne liye kuchh soch raha tha itne samjhane wale the main kuchh kaise samajh sakta tha badi badi aankhon mein us ki koi sawal hua karta tha