kamal-e-zabt ko yaksar bhi aazmana nahin tabah kijiye chup-chap par jatana nahin tu shahr-e-dil mein naya hai so mashwara sun le ziyaada gahre marasim yahan banana nahin chala gaya hai magar ye sabaq sikha gaya hai taras dobara kisi dil-zada pe khana nahin kuredte hue qismat ke band tah-khane lage hain sanp mere hath par khazana nahin ab is maqam se raste juda hain tere mere hawale rab ke chale jao aur bhulana nahin supurdagi to bada masala nahin lekin harim-e-zat mein khud mera aana-jaana nahin bachao us ko miyan wasl ki mashaqqat se ye ishq apni tabiat mein aamiyana nahin