shaguftagi-e-dil-e-viran mein aaj aa hi gai ghata chaman pe bahaaron ko le ke chha hi gai hayat-e-taza ke khatron se dil dhadakta tha hawa chali to kali phir bhi muskura hi gai naqab mein bhi wo jalwe na qaid ho pae kiran dilon ke andhere ko jagmaga hi gai taghaful ek bharam tha ghurur-e-jaanan ka meri nigah-e-mohabbat ka ramz pa hi gai mutalbe to bahut sakht the zamane ke magar huquq-e-mohabbat ki yaad aa hi gai mere junun ki khalish se ab aur kya hota sukut-e-ahl-e-khirad ko to aazma hi gai mata-e-qalb-o-nazar khak hote hote bhi jahan-e-husn ki kuchh aabru badha hi gai thapak thapak ke sulaya jo tum ne zauq-e-sukhan 'surur' is ko kisi ki nazar jaga hi gai