khwab zakhmon ki tarah mir ki ghazlon jaisa mujh ko ek shakhs mila hai meri sochon jaisa jis ki baaton mein ho ambar ki araq-afshani jis ka andaz hamesha ho gulabon jaisa yun laga jaise use jaanti hun sadiyon se main ne ek shakhs ko paya mere khwabon jaisa baat karta tha magar baat badal jata tha us ka lahja tha kai uljhe sawalon jaisa subh ki kirnon ke jaisi hai mohabbat us ki us ka andaz-e-mohabbat hai ujalon jaisa jaane wale ko khabar kya ki bichhad kar us se lamha sadiyon mein guzarta hai azabon jaisa zindagi apni jo kahta tha hamesha mujh ko ab mera zikr wo karta hai hawalon jaisa