khud par koi tufan guzar jaane ke dar se main band hun kamre mein bikhar jaane ke dar se ye log mujhe khun ka tajir na samajh len main tegh liye phirta hun sar jaane ke dar se har sae pe aahat pe nazar rakhta hun shab bhar bistar pe nahin jata hun dar jaane ke dar se main tutne deta nahin rangon ka tasalsul zakhmon ko hara karta hun bhar jaane ke dar se wo man ki mohabbat ki bulandi thi ki us ne zinda hi na chhoda mujhe mar jaane ke dar se kuchh jit mein bhi faeda hota nahin phir bhi wo jang nahin haarta harjaane ke dar se afsurda 'hasan' hain mere lashkar ke sipahi us tak mere zakhmon ki khabar jaane ke dar se