kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati kahe hain baat aisi khayal mein mere nahin aati jo chaho sair-e-dariya waqf hai mujh chashm ki kashti har ek mu-e-palak mera hai goya ghat khairaati ba-rang us ke nahin mahbub dil rone ko aashiq ke saadat khan hai ladka waza kar leta hai barsati jo koi asli hai thanda garm yaquti mein kyunkar ho na lawe tab tere lab ki jo namard hai zati na dekha bagh mein nargis nin tujh kun sharm jaane sin isi gham mein hui hai sar-nigun wo waqt nahin pati kahan mumkin hai 'naji' sa ki taqwa aur salah aawe nigah-e-mast-e-khuban wo nahin leta kharabaati