kami na ki tere wahshi ne khak udane mein junun ka nam uchhalta raha zamane mein 'firaq' daud gai ruh si zamane mein kahan ka dard bhara tha mere fasane mein junun se bhul hui dil pe chot khane mein 'firaq' der abhi thi bahaar aane mein wo koi rang hai jo ud na jae ai gul-e-tar wo koi bu hai jo ruswa na ho zamane mein wo aastin hai koi jo lahu na de nikle wo koi hasan hai jhijhke jo rang lane mein ye gul khile hain ki choten jigar ki ubhri hain nihan bahaar thi bulbul tere tarane mein bayan-e-shama hai hasil yahi hai jalne ka fana ki kaifiyaten dekh jhilmilane mein kasi ki haalat-e-dil sun ke uth gain aankhen ki jaan pad gai hasrat bhare fasane mein usi ki sharh hai ye uthte dard ka aalam jo dastan thi nihan tere aankh uthane mein gharaz ki kat diye zindagi ke din ai dost wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein hamin hain gul hamin bulbul hamin hawa-e-chaman 'firaq' khwab ye dekha hai qaid-khane mein